Cancion : Jis Gali Mein Tera Ghar Artista : Mukesh Album : Kati Patang (Original Motion Picture Soundtrack) Url : https://www.letras10.co/letra-jis-gali-mein-tera-ghar-de-mukesh Jis gali mein tera ghar na ho balma Us gali se hamein to guzarna nahin Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho Us dagar pe hamein paanv rakhna nahin Jis gali mein tera ghar na ho baalma Zindagi mein kai rang-raliyaan sahi Har taraf muskurati yeh kaliyaan sahi. Zindagi mein kai rang-raliyaan sahi Har taraf muskurati yeh kaliyaan sahi Khoobsurat baharon ki galiyaan sahi. Jis chaman mein tere pag mein kaante chubhe. Jis chaman mein tere pag mein kaante chubhe Us chaman se hamein phool chun-na nahin Jis gali mein tera ghar na ho balma Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke Ya chala jaoonga main yeh jag chhod ke... Jis jagah yaad teri sataane lage Jis jagah yaad teri sataane lage Us jagah ek pal bhi theharna nahin Jis gali mein tera ghar na ho balma Us gali se hamein to guzarna nahin Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho Us dagar pe hamein paanv rakhna nahin Jis gali mein tera ghar na ho baalma... ========================== Letra descargada de Letras10.co ==========================